nikal ke ghar se aur maidāñ meñ aa ke
zarā kuchh dekhiye tevar havā ke
koī zinda rahā hai kab jahāñ meñ
charāġh-e-dil ko apne ḳhud bujhā ke
hamārī ḳhāmushī bhī ik navā thī
mile kab sunñe vaale haiñ navā ke
pashīmāñ ek muddat tak rahā hai
koī dar se mujhe apne uThā ke
ye dil hai dil ise siine meñ hargiz
kabhī rakhnā na tum patthar banā ke
'farāz' aksar rahā kartā hai tanhā
añdhere meñ charāġh-e-dil jalā ke