aur sab kuchh bahāl rakkhā hai
ek bas ishq Taal rakkhā hai
bas tirā huuñ ye soch kar barsoñ
maiñ ne apnā ḳhayāl rakkhā hai
vo badan jāduī piTārī hai
har kahīñ ik kamāl rakkhā hai
zindagī maut tai mirī hogī
us ne sikka uchhāl rakkhā hai
hāl-e-dil kyā use batā.ūñ maiñ
us ne sab dekh-bhāl rakkhā hai
hijr phailā hai puure kamre meñ
pars meñ par visāl rakkhā hai
is salīqe se 'āshnā' TuuTo
jaise ḳhud ko sambhāl rakkhā hai