ik-dūje meñ bhī to rahā jā saktā hai
hijr abhī kuchh din Taalā jā saktā hai
yuuñ bhī to kitnī chīzeñ haiñ is ghar meñ
merā dil kuchh roz rakhā jā saktā hai
ḳhaar agar haiñ phuul bhī to hai thoḌe se
dāman ko to mahkāyā jā saktā hai
kaash mirā dil vo bachcha hī rahtā jo
āsānī se bahlāyā jā saktā hai
pairāhan alfāz ke būToñ vaalā ik
ḳhāmoshī ko pahnāyā jā saktā hai
TuuT ke hī ehsās mujhe ye ho paayā
dard abhī kuchh aur sahā jā saktā hai
aap ḳhudā hone kī koshish meñ haiñ par
sirf āshnā bhī to huā jā saktā hai