yuuñ to zahmat se likhe jaate haiñ ham
ḳhair misroñ meñ kahāñ aate haiñ ham
zehn meñ chīḳheñ rakhā karte haiñ par
us kī ḳhāmoshī se ghabrāte hai ham
ab kareñ jhagḌā munāsib hī nahīñ
ishq meñ būḌhe hue jaate haiñ ham
hosh meñ aate hī ho jaate haiñ chup
aur be-hoshī meñ chillāte haiñ ham
kis tarah kī vus.ateñ rakhtā hai tū
kis tarah tujh meñ samā paate haiñ ham
apne āñgan meñ parinde dekh kar
jism kī Tahnī se uḌ jaate haiñ ham
dukh ginātī hai vo laḌkī ishq meñ
phir use kuchh der bahlāte haiñ ham
dekhnā hai kis kahānī ke liye
kaun sā kirdār apnāte haiñ ham