Nivesh Sahu

ruh tak aa ki mujhe us ka sahaara hai bahut

Nivesh Sahu

Datia, Madhya Pradesh, India

1994
ruuh tak aa ki mujhe us kā sahārā hai bahut
jism mat chheḌ mujhe jism ne maarā hai bahut
chāñd kī kis ko talab hai ki yahāñ tārīkī
is qadar hai ki mujhe ek sitāra hai bahut
merī jānib se sadā aur sadā aur sadā
us kī jānib se faqat ek ishāra hai bahut
maiñ huuñ ḳhvāboñ kī havā tū hai haqīqat kā charāġh
paas hoñ donoñ to is meñ bhī ḳhasāra hai bahut
is kā ġham chhoḌ kahāñ kaise kaTī hijr meñ umr
vo ghaḌī soch jise saath guzārā hai bahut
tū mirā ḳhvāb hai sardī kī kisī raat kā ḳhvāb
sard hai jis meñ badan ruuh kā paara hai bahut
Top Urdushayar.com