jo karte the ulTā-sīdhā karte the
ham patthar pe dariyā pheñkā karte the
is jañgal ke peḌoñ se maiñ vāqif huuñ
gir jaate the jis par saaya karte the
maiñ bastī meñ titlī pakḌā kartā thā
baaqī saare log to jhagḌā karte the
kuchh bachche sailāboñ meñ bah jaate haiñ
ham palkoñ se dariyā rokā karte the
jaao koī tār-vār nahīñ girtā
ham hī chhat se jugnū pheñkā karte the
sab rūheñ zehnoñ par kapḌā rakhtī thiiñ
ham bas jismoñ kā hī parda karte the
roz mushāhid rahte the ham shaam talak
phir sūraj kā māthā chūmā karte the
maiñ us aag meñ jism jalā kar aayā thā
jis meñ saare āñkheñ sekā karte the