uḌne kī zid to chhoḌ havā kī havas nahīñ
ham do parinde umr se ahl-e-qafas nahīñ
tere badan ke taab se hai darmiyāñ umas
lekin tujhe judā karūñ aisī umas nahīñ
ham lā-makāñ haiñ kyā jo tire dar pe haiñ khaḌe
aur is qadar azaab meñ bhī Tas se mas nahīñ
aisī siyāh raat ke nīñdoñ se ḳhauf ho
aisā safed ḳhvāb ke āñkhoñ pe bas nahīñ
bāñhoñ meñ dekhtā huuñ tirī maiñ mirā maqām
lekin mirā maqām tirī dastaras nahīñ
ai merī shā.irī ke hunar mujh ko yuuñ na maar
ai āstīñ ke saañp mujhe aur Das nahīñ
so is hisāb se bhī huā saal bhar kā hijr
kahtā hai aa.egā vo mirā is baras nahīñ