vo jo mubtalā hai mohabbatoñ ke azaab meñ
koī phūTtā huā aabla hai hubāb meñ
mirā ishq shart-e-visāl se rahe muttasil
nahīñ dekhnā mujhe ḳhvāb-e-shab shab-e-ḳhvāb meñ
jo kashīd karne kā hausla hai to kījiye
ki hazār tarah kī rāhateñ haiñ azaab meñ
ye tavāf-e-ka.aba ye bosa sañg-e-siyāh kā
ye talāsh ab bhī hai pattharoñ ke hijāb meñ
baḌī lazzateñ haiñ gunāh meñ jo na kījiye
jo na pīji.e to ajab nasha hai sharāb meñ
sabhī uzr-hā-e-gunāh jab hue mustarad
to dalīl kaisī difā-e-kār-e-savāb meñ