mirī tārīkiyoñ se bhāgtā maiñ
tumhārī raushnī se aa lagā maiñ
diye jaisā badan Dhāñpe hue thā
havā hone kā dam bhartā huā maiñ
hazāroñ peḌ haiñ is dasht meñ aur
hazāroñ meñ kahīñ tanhā khaḌā maiñ
badan huuñ ruuh ke is dā.ere meñ
aur apnī ruuh kā huuñ dā.era maiñ
havā meñ jazb paanī sokh lūñgā
tumhārī ḳhaak se lipTā huā maiñ
mire siine se lag kar so gayā vo
use siine lagā kar jāgtā maiñ
abhī dastak sunī maiñ ne lihāzā
badan ke sab daroñ ko kholtā maiñ
tirī bātoñ ko sunñā bhuul baiThā
tirī bātoñ meñ itnā mubtalā maiñ
tū jab tak saath hai merā ḳhudā hai
aur us ke baad huuñ apnā ḳhudā maiñ