ġhanīmat hai kisī ke sar nahīñ huuñ
abhī tak ghar se maiñ be-ghar nahīñ huuñ
abhī dīvār se guzrā to jaanā
maiñ apne jism ke andar nahīñ huuñ
ye achchhī baat hai tum sāmne ho
maiñ ya.anī ḳhvāb se bāhar nahīñ huuñ
maiñ chāroñ or se huuñ band kamra
faqat dīvār huuñ maiñ dar nahīñ huuñ
agar hotā to ḳhud ko phir banātā
magar afsos kūza-gar nahīñ huuñ
samundar suukh jaane par milā huuñ
magar malva huuñ bas gauhar nahīñ huuñ
maiñ sūkhā dasht huuñ aur dasht aisā
kisī bhī jānvar kā ghar nahīñ huuñ