Nivesh Sahu

dariya se iKHtilat hai hum ro nahin rahe

Nivesh Sahu

Datia, Madhya Pradesh, India

1994
dariyā se iḳhtilāt hai ham ro nahīñ rahe
ronā hamārī zaat hai ham ro nahīñ rahe
is bad-dimāġh dil ne kiyā zabt kā bhī ḳhuun
ye sirf vārdāt hai ham ro nahīñ rahe
kitne dinoñ ke ba.ad ḳhushī se mile haiñ ham
phir bhī ajiib baat hai ham ro nahīñ rahe
ye din bhī koī din thā ajab ḳhush-gavār din
ye raat koī raat hai ham ro nahīñ rahe
rone lage to kaun hameñ chup karā.egā
so is kā ehtiyāt hai ham ro nahīñ rahe
aañsū kamā.e haiñ so tire diin ke liye
maulā yahī zakāt hai ham ro nahīñ rahe
Top Urdushayar.com