apnī ġhairat ke alāva kahīñ dekhe na ga.e
ḳhud se nikle the magar ġhair ke pīchhe na ga.e
tum ko afsos tumheñ Thiik banāyā na gayā
aur ek ham ke abhī chaak pe rakkhe na ga.e
ik sitam ye ke hameñ vasl meñ aayā na sukūñ
ik sitam ye ke tire hijr bhī dekhe na ga.e
sañg us ke to mohabbat meñ salīqe se kaTī
ba.ad us ke bhī badan se ye salīqe na ga.e
tere aane pe kahāñ sar pe uThā lete the ghar
tere jaane pe tire pīchhe darīche na ga.e
us kī ḳhushbū ko bhī ruḳhsat na kiyā jaatā thā
ham se kuchh roz to kapḌe bhī utāre na ga.e