Akbar Hameedi

harif-e-gardish-e-ayyam to bane hue hain

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
harīf-e-gardish-e-ayyām to bane hue haiñ
vo ā.eñge nahīñ ā.eñge ham saje hue haiñ
baḌā hī ḳhushiyoñ bharā hañstā-bastā ghar hai mirā
isī liye to sabhī qumqume jale hue haiñ
vo ḳhud-pasand hai ḳhud ko hī dekhnā chāhe
so us ke chāroñ taraf aa.ine lage hue haiñ
ye kis hasīñ kī savārī guzarne vaalī hai
jo kā.enāt ke sab rāste saje hue haiñ
mahak rahī hai fazā us badan kī ḳhushbū se
chaman harā-bharā hai phuul bhī khile hue haiñ
maiñ us kī samt meñ ḳhud rāsta banā.ūñgā
vagarna us kī taraf rāste bane hue haiñ
Top Urdushayar.com