Akbar Hameedi

mujhe likkho wahan kya ho raha hai

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
mujhe likkho vahāñ kyā ho rahā hai
yahāñ to phir tamāshā ho rahā hai
havā ke dosh par hai āshiyāna
parinda tinkā tinkā ho rahā hai
abhī parvāz kī fursat hai kis ko
abhī to dāna-dunkā ho rahā hai
koī nādīda uñglī uTh rahī hai
mirī jānib ishāra ho rahā hai
vo apne haath sīdhe kar rahe haiñ
hamārā shahr ulTā ho rahā hai
na jaane kis taraf se likkhā jaa.e
chaman dīvār-e-fardā ho rahā hai
Top Urdushayar.com