Akbar Hameedi

kahte hain hum udhar hain sitara hai jis taraf

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
kahte haiñ ham udhar haiñ sitārā hai jis taraf
maiñ jāntā huuñ un kā ishārā hai jis taraf
sab chāhte haiñ sat.h-e-samandar pe likkhe jaa.eñ
par jaate haiñ udhar ko kinārā hai jis taraf
ye kyā zarūr hai yahāñ umreñ guzār deñ
ik hādse ne ham ko utārā hai jis taraf
ye āsmān aa.ine kī shakl hai koī
ham us taraf haiñ us kā nazārā hai jis taraf
Top Urdushayar.com