Akbar Hameedi

nam akbar to mera man ki dua ne rakkha

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
naam 'akbar' to mirā maañ kī duā ne rakkhā
haañ bharam us kā magar mere ḳhudā ne rakkhā
vo bhī din thā ki tire aane kā paiġhām aayā
tab mire ghar meñ qadam bād-e-sabā ne rakkhā
kis tarah logoñ ne māñgīñ thiiñ duā.eñ us kī
kuchh lihāz is kā na be-mehr havā ne rakkhā
aise hālāt meñ ik roz na jī sakte the
ham ko zinda tire paimān-e-vafā ne rakkhā
ittifāqāt ke pīchhe bhī haiñ asbāb-o-ilal
ik na ik apnā sabab dast-e-qazā ne rakkhā
jis ne rakkhā tirī miTtī huī qadroñ kā lihāz
kuchh ḳhayāl is kā nahīñ tū ne zamāne rakkhā
sirf 'akbar' hī nahīñ dekh ke tasvīr huā
sab ko hairāñ tire naqsh-e-kaf-e-pā ne rakkhā
Top Urdushayar.com