Akbar Hameedi

sharar-e-sang jo is shor-o-shar se niklega

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
sharār-e-sañg jo is shor-o-shar se niklegā
jalūs-e-lāla-o-nasrīñ kidhar se niklegā
maiñ jāntā huuñ ki us kī ḳhabar na aa.egī
tanāzur us kā magar har ḳhabar se niklegā
sabhī asiir hue apnī apnī sub.hoñ ke
vo koī hogā jo qaid-e-sahar se niklegā
kisī ko apne sivā kuchh nazar nahīñ aatā
jo dīda-var hai tilism-e-nazar se niklegā
jalāl-e-husn dikhā mere māhtāb-e-jamāl
tū raushnī hai shaboñ ke asar se niklegā
shaboñ ko jāgte ho jis ke ḳhvāb meñ 'akbar'
vo shāhkār kamāl-e-hunar se niklegā
Top Urdushayar.com