Akbar Hameedi

dil ki girhen kahan wo kholta hai

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
dil kī girheñ kahāñ vo kholtā hai
chāhatoñ meñ bhī jhuuT boltā hai
sañg-rezoñ ko apne hāthoñ se
motiyoñ kī tarah vo roltā hai
kaisā mīzān-e-adl hai us kā
phuul kāñToñ ke saath taultā hai
aisā vo diplomat hai 'akbar'
zahr amrit ke saath gholtā hai
Top Urdushayar.com