ga.ī guzrī kahānī lag rahī hai
mujhe har shai purānī lag rahī hai
vo kahtā hai ki faanī hai ye duniyā
mujhe to jāvedānī lag rahī hai
ye zikr-e-āsmāñ kaisā ki mujh ko
zamīñ bhī āsmānī lag rahī hai
vo is husn-e-tavajjoh se mile haiñ
ye duniyā pur-ma.ānī lag rahī hai
ġhazal duniyā meñ rahtā huuñ maiñ 'akbar'
ye merī rājdhānī lag rahī hai