Akbar Hameedi

zor-o-zar ka hi silsila hai yahan

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
zor-o-zar kā hī silsila hai yahāñ
lafz ko kaun pūchhtā hai yahāñ
pahlā to ab kisī jagah bhī nahīñ
jis taraf dekho dūsrā hai yahāñ
raat din phir rahā huuñ galiyoñ meñ
merā ik shaḳhs kho gayā hai yahāñ
sehr hai yā tilism hai kyā hai
har koī raah bhūltā hai yahāñ
har kahīñ sach hī bolnā chāhe
shāyad 'akbar' nayā nayā hai yahāñ
Top Urdushayar.com