Akbar Hameedi

tamam aalam-e-imkan mere guman mein hai

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
tamām ālam-e-imkāñ mire gumān meñ hai
vo tiir huuñ jo abhī vaqt kī kamān meñ hai
abhī vo sub.h nahīñ hai ki merā kashf khule
vo harf-e-shām huuñ jo ajnabī zabān meñ hai
in āñganoñ meñ haiñ barsoñ se ek se din raat
yahī rukā huā lamha har ik makān meñ hai
ye aks-e-āb hai yā is kā dāman-e-rañgīñ
ajiib tarah kī surḳhī sī bādbān meñ hai
jahāñ dalīl ko patthar se toḌnā Thahre
vo shahr-e-sañg-dilāñ saḳht imtihān meñ hai
mujhe adū kī baqā bhī aziiz hai 'akbar'
ki ek phuul sī dīvār darmiyān meñ hai
Top Urdushayar.com