Akbar Hameedi

raat aai hai bachchon ko paDhane mein laga hun

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
raat aa.ī hai bachchoñ ko paḌhāne meñ lagā huuñ
ḳhud jo na banā un ko banāne meñ lagā huuñ
vo shaḳhs to rag rag meñ mirī guuñj rahā hai
barsoñ se galā jis kā dabāne meñ lagā huuñ
utrā huuñ diyā le ke nihāñ-ḳhāna-e-jāñ meñ
so.e so.e aaseb jagāne meñ lagā huuñ
patthar huuñ to shīshe se mujhe kaam paḌā hai
shīsha huuñ to patthar ke zamāne meñ lagā huuñ
fankār ba-zid hai ki lagā.egā numā.ish
maiñ huuñ ki har ik zaḳhm chhupāne meñ lagā huuñ
kuchh paḌhnā hai kuchh likhnā hai kuchh ronā hai shab ko
maiñ kaam sar-e-shām chukāne meñ lagā huuñ
aise meñ to ab sabr bhī mushkil huā 'akbar'
sab kahte haiñ maiñ us ko bhulāne meñ lagā huuñ
Top Urdushayar.com