Akbar Hameedi

hansi mein saghar-e-zarrin khanak khanak jae

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
hañsī meñ sāġhar-e-zarrīñ khanak khanak jaa.e
shabāb us kī sadā kā chhalak chhalak jaa.e
dil-o-nazar meñ basī hai vo chāñd sī sūrat
vo dil-kashī hai ki bālak humak humak jaa.e
libās meñ hai vo tarz-e-tapāk-e-ārā.ish
jo añg chāhe chhupānā jhalak jhalak jaa.e
qadam qadam tirī ra.anā.iyoñ ke dar vā hoñ
ravish ravish tirā āñchal Dhalak Dhalak jaa.e
nafas nafas ho sabā kī tarah bahār-añgez
ufuq ufuq gul-e-hastī mahak mahak jaa.e
nashāt-e-qurb ke lamhoñ meñ us kī añgḌā.ī
ubhar ke ḳhāk-e-badan se dhanak dhanak jaa.e
baqā ke raaz haiñ sab us pe munkashif 'akbar'
vo shāḳh-e-sabz havā se lachak lachak jaa.e
Top Urdushayar.com