abhī zamīn ko haft āsmāñ banānā hai
isī jahāñ ko mujhe do-jahāñ banānā hai
bhaTak rahā hai akelā jo koh-o-sahrā meñ
us ek aadmī ko kārvāñ banānā hai
ye shāḳh-e-gul jo ghirī hai hazār kāñToñ meñ
mujhe isī se nayā gulistāñ banānā hai
maiñ jāntā huuñ mujhe kyā banānā hai lekin
vahāñ banāne se pahle yahāñ banānā hai
charāġh le ke use shahr shahr DhūñDhtā huuñ
bas ek shaḳhs mujhe rāz-dāñ banānā hai
hameñ bhī umr-guzārī to karnī hai 'akbar'
unheñ bhī mashġhala-e-dil-barāñ banānā hai