Akbar Hameedi

kafir tha main KHuda ka na munkir dua ka tha

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
kāfir thā maiñ ḳhudā kā na munkir duā kā thā
lekin yahāñ savāl shikast-e-anā kā thā
kuchh ishq-o-āshiqī pe nahīñ merā e'tiqād
maiñ jis ko chāhtā thā hasīñ intihā kā thā
jal kar girā huuñ sūkhe shajar se uḌā nahīñ
maiñ ne vahī kiyā jo taqāzā vafā kā thā
tārīk raat mausam-e-barsāt jān-e-zār
girdāb pīchhe sāmne tūfāñ havā kā thā
ik umr ba.ad bhī na shifā ho sake to kyā
rag rag meñ zahr sadiyoñ kī āb-o-havā kā thā
go rāhzan kā vaar bhī kuchh kam na thā magar
jo vaar kārgar huā vo rahnumā kā thā
'akbar' jahāñ meñ kār-kushā.ī butoñ kī thī
achchhā rahā jo mānñe vaalā ḳhudā kā thā
Top Urdushayar.com