Akbar Hameedi

ek lamhe ne jiwan-dhaara rok liya

Akbar Hameedi

Firozwala, Punjab, Pakistan

1935
ik lamhe ne jīvan-dhārā rok liyā
jaise kisī qatre ne dariyā rok liyā
kitnā maan gumān hai dene vaale ko
dard diyā hai aur mudāvā rok liyā
donoñ aalam mil ke jis ko rokte haiñ
maiñ ne us tūfān ko tanhā rok liyā
kabhī kabhī to mujh ko yuuñ mahsūs huā
jaise kisī ne merā hissa rok liyā
vo to sab kā dost hai merā kyā hogā
us ko to bas jis ne rokā rok liyā
ek sī saarī sub.heñ ek sī shāmeñ haiñ
kis ne 'akbar' bahtā dariyā rok liyā
Top Urdushayar.com