kahā thā us ne mohabbat kī aabrū rakhnā
chubhe hoñ kitne bhī kāñTe guloñ kī ḳhū rakhnā
diloñ ko toḌ na Daale tumhārī haq-goī
bajā.e harf ke ā.īna rū-ba-rū rakhnā
jo vaqt ahl-e-vafā se kabhī lahū māñge
to sab se pahle lab-e-teġh par gulū rakhnā
ḳhizāñ se haar na jaanā kisī bhī hālat meñ
numū mile na mile ḳhvāhish-e-numū rakhnā
burā na kahnā zamāne ko ham zamāna haiñ
hamāre ba.ad zamāne se guftugū rakhnā
faqīh-e-shahr ke fatve kī haisiyat kyā hai
to ḳhud ko apnī nigāhoñ meñ surḳh-rū rakhnā
visāl-e-dost kī saa.at bhī aane vaalī hai
sahar qarīb hai 'akbar' abhī vazū rakhnā