kuchh fāsla nahīñ hai adū aur shikast meñ
lekin koī surāġh nahīñ hai giraft meñ
kuchh daḳhl iḳhtiyār ko ho būd-o-hast meñ
sar kar luuñ ye jahān-e-alam ek jast meñ
ab vādi-e-badan meñ koī boltā nahīñ
suntā huuñ aap apnī sadā bāz-gasht meñ
ruḳh hai mire safar kā alag terī samt aur
ik su-e-murġh-zār chale ek dasht meñ
kis shaah kā guzar hai ki maflūj jism-o-jāñ
jī jaan se juTe hue haiñ band-o-bast meñ
ye pūchh aa ke kaun nasīboñ jiyā hai dil
mat dekh ye ki kaun sitāra hai baḳht meñ
kis soz kī kasak hai nigāhoñ ke aas paas
kis ḳhvāb kī shikast umaD aa.ī hai tasht meñ