khulī aur band āñkhoñ se use taktā rahā maiñ bhī
tirī duniyā ke pīchhe bhāgtā phirtā rahā maiñ bhī
mirī āvāz pichhlī raat tujh tak kaise aa paatī
kisī gahre kueñ meñ raat bhar sotā rahā maiñ bhī
ba-zāhir dekhtī āñkheñ ba-zāhir jāgtī rūheñ
ba-zāhir in sabhoñ ke saath hī jiitā rahā maiñ bhī
maiñ huuñ is kārsāz-e-be-kasāñ kī dastaras meñ yuuñ
vo jis sāñche meñ bhī Dhālā kiyā Dhaltā rahā maiñ bhī
badan malbūs meñ sho.ala sā ik larzāñ qarīn-e-jāñ
dil-e-ḳhāshāk bhī sho.ala huā jaltā rahā maiñ bhī
hai jis rāh-e-yaqīñ par gāmzan pā-e-ḳhirad har-dam
usī rāh-e-gumāñ par muddatoñ chaltā rahā maiñ bhī