maiñ nahīñ huuñ nahīñ kahīñ bhī nahīñ
ab koī āsmān hai na zamīñ
ek duniyā huī hai zer-e-nagīñ
shah-nashīñ ho gayā hai ḳhāk-nashīñ
ye sukūñ bhī huā malāl ke saath
vo bahar-taur jī rahā hai yahīñ
bār-hā tū ne ḳhvāb dikhlā.e
bār-hā ham ne kar liyā hai yaqīñ
ek vīrāna thā basā na kabhī
bastiyāñ ham se go hazār basīñ
jaise paanī pe naqsh ho koī
raunaqeñ sab adam-sabāt rahīñ
ġhurfa-e-dard kis ne khol diyā
tū to ab mere ās-pās nahīñ