ai abr-e-iltifāt tirā e'tibār phir
āñkhoñ meñ phir vo pyaas vahī intizār phir
rakhkhūñ kahāñ pe paañv baḌhā.ūñ kidhar qadam
raḳhsh-e-ḳhayāl aaj hai be-iḳhtiyār phir
dast-e-junūñ-o-panja-e-vahshat chihār-samt
be-barg-o-bār hone lagī hai bahār phir
paspā.iyoñ ne gaaḌ diye daañt pusht par
yuuñ dāman-e-ġhurūr huā taar taar phir
nishtar tirī zabāñ hī nahīñ ḳhāmshī bhī hai
kuchh rah-guzār-e-rabt huī ḳhār-zār phir
mujh meñ koī savāl tire mā-sivā nahīñ
mujh meñ yahī savāl huā ek baar phir