Akram Naqqash

koi ilzam mere nam mere sar nahin aaya

Akram Naqqash

koī ilzām mere naam mere sar nahīñ aayā
vo jo tūfān andar thā mire bāhar nahīñ aayā
ye kis kī diid ne āñkhoñ ko bhar Daalā ḳhalā se yuuñ
ki phir āñkhoñ meñ koī dūsrā manzar nahīñ aayā
junūñ-bardār koī rū-e-sahrā par nahīñ dekhā
kanār-e-ābjū pyāsā koī lashkar nahīñ aayā
huī bārish daraḳhtoñ ne badan se gard sab jhāḌī
koī sāvan koī mausam mire andar nahīñ aayā
kahīñ pathrā ga.ī āñkheñ kahīñ shal hausloñ ke paañv
kahīñ rah-rau nahīñ pahuñchā kahīñ par ghar nahīñ aayā
kabhī kashtī pe koī bādbāñ maiñ ne nahīñ rakkhā
uḌānoñ ke liye merī koī shahpar nahīñ aayā
nahīñ ho kar bhī hai har saañs meñ shāmil muqābil bhī
magar zī-hosh kahte haiñ koī jā kar nahīñ aayā
Top Urdushayar.com