dasht ko DhūñDne niklūñ to jazīra nikle
paañv rakhkhūñ jo maiñ vīrāne meñ duniyā nikle
ek biphrā huā dariyā hai mire chaar taraf
tū jo chāhe isī tūfāñ se kināra nikle
ek mausam hai dil o jaañ pe faqat din ho ki raat
āsmāñ koī ho dil par vahī taarā nikle
dekhtā huuñ maiñ tirī raah meñ dām-e-hairat
raushnī raat se aur dhuup se saaya nikle
is se pahle ye kabhī dil ne kahā hī kab thā
raat kuchh aur baḌhe chāñd dobāra nikle
aañkh jhuktī hai to miltī hai ḳhamoshī ko zabāñ
band hoñToñ se koī boltā dariyā nikle
ishq ik aisī havelī hai ki jis se bāhar
koī darvāza khule aur na darīcha nikle
sehr ne tere ajab raah sujhā.ī hamdam
ham kahāñ jaane ko nikle the kahāñ aa nikle