habs-e-darūñ pe jism-e-girāñ-bār sañg thā
vahshat pe merī arsa-e-āfāq tañg thā
kuchh duur tak sahāb-e-rifāqat rahā rafīq
phir ehtamām-e-bārish-e-tīr-o-tafañg thā
sahmī huī fazā-e-ġhazālāñ ke rū-ba-rū
jañgal thā qahqahe the ḳhudā thā maiñ dañg thā
ab shahr-e-justujū meñ tire baad kuchh nahīñ
ābādi-e-badan meñ jo dil thā malañg thā
jī ye kare hai aaj ki tanhā ji.eñ mareñ
kab mere iztirāb kā ye rañg-Dhañg thā
har shaam muzmahil sī saverā bujhā bujhā
tujh se pare jo dekhā yahī ek rañg thā