Akram Naqqash

qarar-e-gud-shuda mere KHuda kab aaega

Akram Naqqash

qarār-e-gud-shuda mere ḳhudā kab aa.egā
mirī duāoñ meñ rañg-e-duā kab aa.egā
badan se bharne lage haiñ ham apnī ruuh ke ghaav
hameñ salīqa-e-dārū-davā kab aa.egā
yahīñ kahīñ se vo āvāz de rahā hai magar
navāh-e-jāñ meñ mirā nā-ḳhudā kab aa.egā
ġhurūb hotā huā raushnī kā sayyāra
añdhere mausamoñ meñ kyā patā kab aa.egā
samā.atoñ ko mirī murġh-zār karne ko
ḳhamosh dasht meñ naḳhl-e-sadā kab aa.egā
hazār kārvāñ yuuñ to haiñ mere saath magar
jo mere naam hai vo qāfila kab aa.egā
fasīleñ TuuT ga.iiñ ho ga.e mahal mismār
khañDar meñ raat ga.e dūsrā kab aa.egā
Top Urdushayar.com