koī suntā hī nahīñ kis ko sunāne lag jaa.eñ
dard agar uTThe to kyā shor machāne lag jaa.eñ
bhed aisā ki girah jis kī talab kartī hai umr
ramz aisā ki samajhne meñ zamāne lag jaa.eñ
aa gayā vo to dil o jaan bichhe haiñ har-sū
aur nahīñ aa.e to kyā ḳhaak uḌāne lag jaa.eñ
terī āñkhoñ kī qasam ham ko ye mumkin hī nahīñ
tū na ho aur ye manzar bhī suhāne lag jaa.eñ
vahshateñ itnī baḌhā de ki gharauñde Dhā deñ
sabz shāḳhoñ se parindoñ ko uḌāne lag jaa.eñ
aisā daarū ho rah-e-ishq se baaz aa.eñ qadam
aisā chāra ho ki bas hosh Thikāne lag jaa.eñ