Akram Naqqash

lahu tezab karna chahta hai

Akram Naqqash

lahū tezāb karnā chāhtā hai
badan ik aag dariyā chāhtā hai
mayassar se ziyāda chāhtā hai
samundar jaise dariyā chāhtā hai
ise bhī saañs lene de ki har-dam
badan bāhar nikalnā chāhtā hai
mujhe bilkul ye andāza nahīñ thā
vo ab rasta badalnā chāhtā hai
na.ī zanjīr phailā.e hai bāñheñ
koī āzād honā chāhtā hai
ruteñ badlīñ na.e phal-phūl aa.e
magar dil sab purānā chāhtā hai
sukūñ kahiye jise hai rāste meñ
do ik pal hī meñ aayā chāhtā hai
havā bhī chāhiye aur raushnī bhī
har ik hujra darīcha chāhtā hai
bagūloñ se bharā hai dasht saarā
yahī to roz sahrā chāhtā hai
Top Urdushayar.com