tū saath hai magar kahīñ terā patā nahīñ
shāḳhoñ pe duur tak koī pattā harā nahīñ
ḳhāmoshiyāñ bharī haiñ fazāoñ meñ in dinoñ
ham ne bhī mausamoñ se idhar kuchh kahā nahīñ
tū ne zabāñ na kholī suḳhan maiñ ne chun liye
tū ne vo paḌh liyā jise maiñ ne likhā nahīñ
ye kaun sī jagah hai ye bastī hai kaun sī
koī bhī is jahān meñ tere sivā nahīñ
chaliye bahut qarīb se sab dekhnā huā
apne gumāñ se haT ke kahīñ kuchh huā nahīñ
chhoḌā hai jaane kis ne mujhe bāl-o-par ke saath
ye kin bulandiyoñ pe jahāñ par havā nahīñ
rañg-e-talab hai kaun sī manzil meñ kyā kaheñ
āñkhoñ meñ mudda.ā nahīñ lab par sadā nahīñ
pīchhe tire ai rāhat-e-jān kuchh na pūchhiyo
kyā kyā huā nahīñ yahāñ kyā kuchh huā nahīñ