TuuTī huī shabīh kī tasḳhīr kyā kareñ
bujhte hue ḳhayāl ko zanjīr kyā kareñ
andhā safar hai ziist kise chhoḌ de kahāñ
uljhā huā sā ḳhvāb hai tābīr kyā kareñ
siine meñ jazb kitne samundar hue magar
āñkhoñ pe iḳhtiyār kī tadbīr kyā kareñ
bas ye huā ki rāsta chup-chāp kaT gayā
itnī sī vārdāt kī tash.hīr kyā kareñ
saa.at koī guzār bhī leñ jī to leñ kabhī
kuchh aur apne baab meñ tahrīr kyā kareñ