Akram Naqqash

gahri suni rah aur tanha sa main

Akram Naqqash

gahrī suunī raah aur tanhā sā maiñ
raat apnī chaap se Dartā sā maiñ
tū ki merā aa.ina hotā huā
aur tere aks meñ Dhaltā sā maiñ
kab tire kūche se kar jaanā hai kuuch
is tasavvur se hī ghabrātā sā maiñ
merī rāhoñ ke liye manzil tū hī
tere qadmoñ ke liye rastā sā maiñ
āsmāñ meñ rañg bikhrātā sā tū
aur sarāpā diid ban jaatā sā maiñ
hasrat-e-ta.abīr se chhūTūñ kabhī
har nafas is ḳhvāb meñ jaltā sā maiñ
be-karāñ hotā huā dasht-e-gumāñ
aur yaqīñ ke daar par aayā sā maiñ
nā koī manzar na ab koī ḳhayāl
ab har ik shai bhūltā jaatā sā maiñ
Top Urdushayar.com