Hairat shimlavii

ek to KHud apni ghamgini

Hairat shimlavii

Shimla, Himachal Pradesh, India

1901
ik to ḳhud apnī ġhamgīnī
us par un kī nukta-chīnī
apnī shīrīnī bhī talḳhī
un kī talḳhī bhī shīrīnī
khul jā.egā ye bhī ik din
kis ne kis kī rāhat chhīnī
kaafī hai kyā ye kah denā
sab hālāt kī hai sañgīnī
kar nahīñ saktī ham ko qaa.il
sirf ibārat kī rañgīnī
hai ye vafā vo jurm-e-mohabbat
hai jis ke pādāsh yaqīnī
kyā ma.alūm kisī kī mushkil
ḳhuddārī hai yā ḳhud-bīnī
aap kī rā-e-ālī kyā hai
diin hai behtar yā be-dīnī
kyā kahnā us hosh-o-ḳhirad kā
sūjhtī hai jis kī shauqīnī
apne dāman ko bhī dekheñ
ho manzūr jinheñ gul-chīnī
achchhe achchhoñ ko ai hairat
le Duubī hai be-ā.īñī
Top Urdushayar.com