ḳhud hī par zulm Dhāyā jā rahā hai
zamāne se nibhāyā jā rahā hai
hamārī āñkhoñ se bīnā.ī le kar
hameñ manzar dikhāyā jā rahā hai
ma.ānī ḳhaak hote jā rahe haiñ
ḳhayāl itnā pakāyā jā rahā hai
sar-e-mimbar ikaTThā haiñ qalandar
faqīrī ko bhunāyā jā rahā hai
vahāñ se bhī uThāyā thā hameñ ab
yahāñ se bhī uThāyā jā rahā hai
yahāñ pe sher kahnā yuuñ hai jaise
diyā din meñ jalāyā jā rahā hai