ab to dil o dimāġh meñ koī ḳhayāl bhī nahīñ
apnā junūn bhī nahīñ us kā jamāl bhī nahīñ
us se bichhaḌ ke ziist meñ ye hī gila rahā mujhe
us se judā bhī huuñ magar jiinā muhāl bhī nahīñ
ishq kī jañg meñ miyāñ ye hī usuul hai bajā
haath meñ us ke teġh ho aap ke Dhaal bhī nahīñ
mujh ko kahīñ milī nahīñ koī bhī rāh-e-pur-sukūñ
samt-e-junūb bhī nahīñ samt-e-shumāl bhī nahīñ
mere badan pe thā kabhī us ke badan kā pairahan
aaj balā kā hijr hai jism pe shaal bhī nahīñ
ye bhī kamāl hī to hai qābil-e-dād sāhibān
aaj kalām-e-'jashn' meñ koī kamāl bhī nahīñ