Sakhi Lakhnvi

qasid tere bar bar aae

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
qāsid tire baar baar aa.e
ek hafte meñ tiin chaar aa.e
qātil pe jo sar ko vaar aa.e
bār-e-tan-e-zār utaar aa.e
āshuftagī ho nasīb-e-dushman
tum zulf na kyuuñ sañvār aa.e
ab kī jo na chhūTe fasl-e-gul meñ
phir dekhiye kab bahār aa.e
dil meñ nahīñ us kī kuchh kudūrat
ā.īna pe kyā ġhubār aa.e
jholī rahī apnī gul se ḳhālī
dāman meñ ulajh ke ḳhaar aa.e
gul khānā mirā tap-e-alam se
bulbul jo sune buḳhār aa.e
aayā jo 'saḳhī' mah-e-moharram
ham bazm meñ ashk-bār aa.e
Top Urdushayar.com