aabrū kī kise zarūrat hai
jaan bach jaa.e to ġhanīmat hai
der tak saath de nahīñ saktā
jhuuT kī bas yahī haqīqat hai
be-zarūrat bhī kar liyā sajda
ye ibādat baḌī ibādat hai
maiñ mohabbat tujhe nahīñ kartā
tū faqat ruuh kī zarūrat hai
dasht vīrāñ rahe agar to phir
dāva-e-āshiqī pe la.anat hai
koī shikva-gila nahīñ baaqī
ab isī baat kī shikāyat hai