ham-zabāñ ho ga.e ham log shanāsā.ī huī
shab ke sannāToñ meñ jab rū-ba-rū tanhā.ī huī
aap kā bazm se uTh jaanā mire haq meñ rahā
aap ke baad mirī ḳhuub pazīrā.ī huī
pyaas zaḳhmī rahī zindān ke darvāzoñ tak
bahte dariyāo kahāñ tum se masīhā.ī huī
pahle kuchh abr ke TukḌoñ sā thā larzāñ us par
baad meñ kyā huā kyoñ shakl thī gahnā.ī huī
merī bastī to dil-āzār pasand bastī hai
kyoñ tire shahr meñ mehmān kī rusvā.ī huī
ek muddat huī jis laash ko dafnā.e hue
aaj vo laash milī nahr meñ utrā.ī huī
sirf mīrās-e-shahādat hī nahīñ hisse meñ
daulat-e-girya-e-mazlūm bhī ābā.ī huī