Khurram Khiram Siddiqui

kaj-faham se kya dil ki hikayat kahen hum

Khurram Khiram Siddiqui

kaj-faham se kyā dil kī hikāyāt kaheñ ham
behtar hai jo samjheñ so vahī ban ke raheñ ham
ho rau meñ tirī chashm-e-balā-ḳhez kā dariyā
is nuur ke sailāb meñ ik baar baheñ ham
jo kaif tire qurb meñ hai aur kahāñ hai
dekh aa.e haiñ vaise to bahut aish-gaheñ ham
thī jhīloñ kī āġhosh meñ gahrā.ī jahāñ par
chhoḌ aa.e parindoñ kī tarah aisī jag.heñ ham
aamad kā tirī jab koī imkān nahīñ hai
kab tak dil-e-be-tāb yūñhī thaam rakheñ ham
jo aks vo chāheñ vahī ā.īna dikhā.e
vo dekheñ hameñ jaise 'ḳhirām' un ko dikheñ ham
Top Urdushayar.com