Zia Jalandhari

kitne imkan the jo KHwabon ke sahaare dekhe

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
kitne imkāñ the jo ḳhvāboñ ke sahāre dekhe
māvarā the jo nazar se vo nazāre dekhe
parde uThte ga.e āñkhoñ se to rafta rafta
barg-e-gul barf meñ patthar meñ sharāre dekhe
dil pe us vaqt khulā hausla-e-ġham kā jamāl
apne har rañg meñ jab ruup tumhāre dekhe
āsare jaate rahe aas abhī baaqī hai
pau bhī phūTegī jahāñ Dūbte taare dekhe
dil ko ḳhuuñ karne kī hasrat ho use bhī shāyad
sāhab-e-sāda agar rañg hamāre dekhe
ḳhūb-o-nā-ḳhūb meñ kyā farq kareñ ham ki yahāñ
jab havā palTī to muḌte hue dhāre dekhe
mujhe is bazm meñ kahnā to bahut kuchh thā 'ziyā'
bujh ga.e lafz jab āñkhoñ ke ishāre dekhe
Top Urdushayar.com