Zia Jalandhari

dekhen aaine ke manind sahen gham ki tarah

Zia Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1923-2012
dekheñ ā.īne ke mānind saheñ ġham kī tarah
ham ki haiñ bazm-e-gul-o-lāla meñ shabnam kī tarah
vaqt be-mehr hai is fursat-e-kamyāb meñ tum
merī āñkhoñ meñ raho ḳhvāb-e-mujassam kī tarah
arsa-e-umr meñ kyā kyā na ruteñ aa.iiñ magar
koī Thahrī na yahāñ dard ke mausam kī tarah
kis tarah us se kahūñ zaḳhm bhī haiñ us kī atā
haath jis kā mire siine pe hai marham kī tarah
maiñ ne chāhā thā ki ik jast meñ pahuñchūñ lekin
raah meñ sañg the albatta o tāham kī tarah
terā ehsāñ hai ki shādāb rahā kunj-e-ḳhayāl
dil-e-pur-ḳhūñ kī tarah dīda-e-pur-nam kī tarah
us kī guftār ne chhoḌā na kahīñ kā ham ko
zā.iqa shahd sā thā aur asar sam kī tarah
log taslīm se taḳhrīb tak aa pahuñche haiñ
Dālne nikle haiñ ik aur hī aalam kī tarah
sa.ī-e-iz.hār 'ziyā' kāñch ke TuuTe hue lafz
ārzūeñ haiñ kisī mahfil-e-barham kī tarah
Top Urdushayar.com