nigāhoñ meñ ye kyā farmā ga.ī ho
mirī sāñsoñ ke taar uljhā ga.ī ho
dar-o-dīvār meñ hai ajnabiyat
maiñ ḳhud bhī kho gayā tum kyā ga.ī ho
pareshāñ ho ga.e ta.abīr se ḳhvāb
ki jaise kuchh badal kar aa ga.ī ho
tamannā intizār-e-dost ke ba.ad
kalī jaise koī murjhā ga.ī ho
ye aañsū ye pashemānī kā iz.hār
mujhe ik baar phir bahkā ga.ī ho
'ziyā' vo zindagī kyā zindagī hai
jise ḳhud maut bhī Thukrā ga.ī ho